Lyrics Alert

Monday, October 7, 2019

Ek Pyar Ka Nagma hai hindi lyrics

Ek Pyar Ka Nagma


Ek Pyar Ka Nagma Lyrics: The song is sung by Sanam Puri. It is composed by SANAM with lyrics written by Santosh Anand.



LYRICS Ek Pyar Ka Nagma hai hindi lyrics

Hmmm…
Ek pyar ka nagma hai
Maujon ki rawani hai
Zindagi aur kuch bhi nahi
Teri meri kahani hai
Ek pyar ka nagma hai…
Kuch paakar khona hai
Kuch khokar paana hai
Jeevan ka matlab toh
Aana aur jaana hai
Do pal ke jeevan se
Ek umr churani hai
Zindagi aur kuch bhi nahi
Teri meri kahani hai
Ek pyar ka nagma hai…
Tu dhaar hai nadiya ki
Main tera kinara hoon
Tu mera sahara hai
Main tera sahara hoon
Aankhon mein samandar hai
Aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuch bhi nahi
Teri meri kahani hai
Ek pyar ka nagma hai…
Toofaan ko aana hai
Aakar chale jaana hai
Baadal hai yeh kuch pal ka
Chhaakar dhal jaana hai
Parchhaaniyan reh jaati
Reh jaati nishani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahani hai
Ek pyar ka nagma hai
Maujon ki rawani hai
Zindagi aur kuch bhi nahi
Teri meri kahani hai
Ek pyar ka nagma hai…

No comments:

Post a Comment